abhi gulon mein koi joshish-e-numu to nahin abhi bahaar pe duniya-e-rang-o-bu to nahin ba-rang-e-ghuncha hua chaak chaak daman-e-dil kisi bhi chaak ko ab hajat-e-rafu to nahin dhuan dhuan hai har ek sans sozish-e-gham se ki dil mein aatish-e-sayyal hai lahu to nahin ye aur baat hai ham-dam se haal-e-zar kahun majal-e-arz magar tere ru-ba-ru to nahin na jaane aalam-e-hasti hai kyon hasin itna ye sochta hun ki parde mein is ke tu to nahin kahin khulus ki mahfil na zindagi ka maqam nahin nahin ye mera shahr-e-arzu to nahin khizan-parast rahe jo bahaar ke dushman dayar-e-gul mein koi un ki aabru to nahin andheri raat kathin rasta kadi manzil koi gharib kahin garm-e-justuju to nahin zaban-e-haal se rudad-e-gham sunata hun karishma hai ye khamoshi ka guftugu to nahin kahin ye baada-e-gulgun se mahka mahka jahan 'nazir' kargah-e-saghar-o-subu to nahin