aashna-e-dard tu ai khugar-e-ishrat nahin lazzat-e-gham ke barabar dusri lazzat nahin qadr-o-qimat dil ki hai jab tak hai is mein mauj-e-dard jis mein rang-o-bu us gul ki kuchh waqat nahin nala-e-shab-gir ho pur-josh ho tufan-e-ashk abr-e-baran ki bhi is ke samne qimat nahin lutf-e-dard-e-dil se to hai be-khabar ai chaaragar is jahan mein is se badh kar dusri neamat nahin ye jigar baqi hai gham ki mehmani ke liye dil subuk-khatir hai is mein khun ki rangat nahin dil diya hai jis ko waiz hai hamein us ki talash hur-e-jannat se shanasai nahin ulfat nahin daulat-e-duniya-e-dun sarchashma-e-afkar hai baadshahi ko faqiri se koi nisbat nahin zist mein meri kami thi ek gham-e-jaan-kah ki mil gaya qismat se wo bhi ab koi hasrat nahin ho gaya afsos 'hafiz' na-murad-e-arzu dhundhta hai aur kahin taskin ki surat nahin