agar hawaon ke rukh mehrban nahin hote to bujhti aag ke tewar jawan nahin hote dilon pe barf jami hai labon pe sahra hai kahin khulus ke jharne rawan nahin hote hum is zamin ko ashkon se sabz karte hain ye wo chaman hai jahan baghban nahin hote kahan nahin hain hamare bhi khair-khwah magar jahan guhaar lagao wahan nahin hote idhar to aankh barasti hai dil dhadakta hai ye sanehat tumhaare yahan nahin hote wafa ka zikr chalaya to hans ke bole wo fuzul kaam hamare yahan nahin hote