aashna kahne se koi aashna hota nahin pujiye jitna magar patthar khuda hota nahin fitna-andazi se mat phenko tabassum ko idhar barq se raushan kisi ghar ka diya hota nahin kanch banta hai chhata se apni hire ka jawab aadmi jurat na ho to kaam ka hota nahin waza-dari se na hoga aadmi ek jaanwar jama-e-athar se koi parsa hota nahin kuchh to hai matlab ki mera nam lab par aa gaya kaam duniya ko koi be-muddaa hota nahin ho na ho 'raazi' juda mana hain un ki baat ke baddua se un ki apna kuchh bura hota nahin