asir-e-sham-o-sahar inqalab paida kar tu sina-chaak sahi aaftab paida kar sukun-e-dil ko fareb-e-umid kya kam hai jo tishnagi hai muqaddar sarab paida kar kahan wo shauq kahan wo fareb-kari-e-shauq kahin se phir wahi ahd-e-shabab paida kar tadap tadap ke dil-e-be-qarar rah jae kuchh aur zulf-e-siyah pech-o-tab paida kar nahin jo jalwa-e-yusuf nahin sahi 'shaariq' nazar-fareb zulekha ka khwab paida kar