aashnai hi sahi apni talab koi to ho is dayar-e-ghair mein bhi ham-nasab koi to ho shor ghar tak aa gaya hai kucha-o-bazar ka kuchh to aisa ho yahan pe mohr-e-lab koi to ho karb-e-tanhai liye aakhir kahan tak jaiye hadisa hi ho agarche be-sabab koi to ho saz ke tute hue taron ko phir se jodiye naghma-e-khush-rang ya soz-e-tarab koi to ho shakh se tute hue patte bahut mayus hain ek chingari sahi un ka bhi ab koi to ho