hijr ki shab zulf-e-barham ka khayal aata raha ek na ek har din mere sar par wabaal aata raha shukr hai tarik dil mein raushni ke waste go tasawwur mein sahi us ka jamal aata raha hai karam us ka ki hum se be-basar ke waste aalam-e-amsal mein wo be-misal aata raha bhulne wale ko aakhir dil bhulae kis tarah be-khayali mein bhi jab us ka khayal aata raha main ne apni khastagi ki dad pai is tarah mere arz-e-haal par un ko jalal aata raha bas yahi kya kam hai meri saf-goi ki dalil un ke dil mein meri jaanib se malal aata raha kya bigad jata jo ho jati tawajjoh ki nazar muddaton dar par gada-e-be-sawal aata raha mujh ko 'bekhud' jab kabhi aaya hai tauba ka khayal der tak apne gunahon ka khayal aata raha