aasman bhi pukarta hai mujhe aashiyan bhi lubha raha hai mujhe aks aakhir kahan gaya mera aaina kyun chhupa raha hai mujhe mujh mein suraj uga ke chahat ka wo sawera sa kar gaya hai mujhe gham ki barish se ban gai dariya ek samundar bula raha hai mujhe subh ki sard si faza thi main gham ka suraj tapa raha hai mujhe mere andar bhanwar bhi hai koi tujh se mil kar pata chala hai mujhe main rida hun jo bewafai ki kyun musalsal tu odhta hai mujhe khub-surat se gul ka paikar hun apne anjam ka pata hai mujhe ek aisi ghazal hun main 'sima' har koi gunguna raha hai mujhe