nazar mein arsh-e-barin hai kisi ko kya malum kahan ye khak-nashin hai kisi ko kya malum tamam hech hai duniya alaeq-e-duniya jo naqsh zeb-e-jabin hai kisi ko kya malum tumhein khabar hi nahin kya hai wirsa-e-darwesh jahan-e-zer-e-nagin hai kisi ko kya malum bila sabab to ye larzish hua nahin karti jo aag zer-e-zamin hai kisi ko kya malum na dar khula na dariche kabhi khule dekhe makan mein kaun makin hai kisi ko kya malum wo ek lafz jo utra na zina-e-lab se hamein usi ka yaqin hai kisi ko kya malum payambar ki zarurat na sharh-e-dil ka khayal wo kis ka bala zahin hai kisi ko kya malum