aasman gardish mein tha sari zamin chakkar mein thi zalzale ke qahr ki taswir har manzar mein thi aapsi takraw ne aakhir numayan kar diya ek chingari jo barson se dabi patthar mein thi main akela mar raha tha ghar mera sunsan tha raunaq-e-khana rafiq-e-zindagi daftar mein thi kar diya tha bewgi ke karb ne garche nidhaal jalti-bujhti aanch si ek barf ki chadar mein thi ek hi fiqre ne sara jism chhalni kar diya dhaar aisi tanziya alfaz ke khanjar mein thi khud-numai kam-libasi sab ne mil kar chhin li qatilana ek ada jo husn ke tewar mein thi rok leti jo parinde ko qafas mein ai 'atiq' aarzu aisi na koi bhi dil-e-muztar mein thi