shab-gazida ke ghar nahin aati

shab-gazida ke ghar nahin aati
khwab mein bhi sahar nahin aati

kya sunen des ki sunaen kya
koi achchhi khabar nahin aati

aaina dusron ki jaanib hai
apni surat nazar nahin aati

aap munh mein zaban rakhte hain
baat karni magar nahin aati

dars dete hain wo mohabbat ka
jin ko zer-o-zabar nahin aati

meri qismat hai ya pachhal-piri
laut jati hai ghar nahin aati

bin tere kuchh nazar nahin aata
tujh ko 'atiya' nazar nahin aati


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close