aasman ki rifaton se tarz-e-yari sikh lo sar utha kar chalne walo khaksari sikh lo pesh-khema hain tanazzul ka takabbur aur ghurur martaba chaho to pahle inkisari sikh lo khud badal jaega nafrat ki fazaon ka mizaj pyar ki khushbu lutao mushkbari sikh lo chun lo qirtas o qalam ya tegh kar lo intikhab koi fan apnao lekin shahkari sikh lo phir tumhaare panw chhune khud bulandi aaegi sab dilon par raj kar ke taj-dari sikh lo ishq ka maidan aasan to nahin hai mohtaram ishq karna hi agar hai gham-shiari sikh lo jis shajar ki chhanw ho 'majid' zamane ke liye kaise hogi is shajar ki aabiyari sikh lo