kaif-e-hayat tere siwa kuchh nahin raha teri qasam hai tujh se juda kuchh nahin raha wallah sab ruten hain pareshan tere baghair wallah mausamon ka maza kuchh nahin raha tufan sahilon ko udate chale gae kaise kahun ki kuchh bhi raha kuchh nahin raha afsos mabadon mein khuda bechte hain log ab mani-e-saza-o-jaza kuchh nahin raha hum mai-kashon pe kufr ke fatwe diye gae ahl-e-khuda ko khauf-e-khuda kuchh nahin raha hum to wafa-parast rahenge tamam umr mana ki un ko pas-e-wafa kuchh nahin raha 'kaifi' main kis tarah se wo manzar bayan karun main ne jo ro ke un se kaha kuchh nahin raha