aasman kuchh bhi nahin ab tere karne ke liye main ne sab tayyariyan kar li hain marne ke liye is bulandi khauf se aazad ho us ne kaha chand se jab bhi kaha niche utarne ke liye ab zamin kyun tere naqshe se nahin hatti nazar rang kya koi bacha hai is mein bharne ke liye ye jagah hairat-sarae hai kahan thi ye khabar yunhi aa nikla tha main to sair karne ke liye kitna aasan lag raha hai mujh ko aage ka safar chhod aaya pichhe parchhain ko darne ke liye