lagta nahin kahin bhi mera dil tere baghair donon jahan nahin mere qabil tere baghair kuchh lutf-e-zindagi nahin hasil tere baghair pal bhar guzarna bhi hai mushkil tere baghair tu hi nahin to kaun kare meri rahbari katti nahin hayat ki manzil tere baghair dil par mere hi shaq nahin hai tera firaq khamosh hain chaman mein anadil tere baghair phulon ke ibtisam pe aati hai ab hansi aisa bujha hua hai mera dil tere baghair hosh-o-hawas-o-aql-o-khirad de gae jawab yani nahin hun main kisi qabil tere baghair har dam ye soch hai mere jine se faeda jab maqsad-e-hayat hai baatil tere baghair takmil-e-arzu se hai takmil-e-zindagi kyunkar ho zindagi meri kaamil tere baghair kashti nikal to aai hai gardab se magar dil dubne laga lab-e-sahil tere baghair har dam tadap ke lotta phirta hun khak par goya bana hun tair-e-bismil tere baghair aankhen hi pahle roti thin ab to ye qahr hai rone laga hai khun mera dil tere baghair 'nadir' ko jaan dene se kyun rokta hai tu jine se bhi hai kya use hasil tere baghair