aasman mil na saka dharti pe aaya na gaya zindagi hum se koi thaur banaya na gaya aasman mujh se miyan hujre mein laya na gaya shairi chhod di mafhum churaya na gaya naukri ki, likhi nazmen, sukun paya na gaya shahr-e-dil tujh ko kisi taur basaya na gaya ghar ki viraniyan ruswa huin bekar mein hi mujh se bazar mein bhi waqt bitaya na gaya josh mein dha to di rishte ki imarat lekin donon se aaj talak malba hataya na gaya khun ke dagh na aa jaen mere lahje mein is liye ghazlon ko akhbar banaya na gaya dikh na jae tu bichhadti hui bas is dar se mujh se aankhon ko koi khwab dikhaya na gaya apna hissa bhi to manga hai zamin se main ne aasman yun hi mere sar pe giraya na gaya jo teri yaad ke panchhi na ruke kya hai ajab umr bhar dil mein to tujh ko bhi bithaya na gaya zat mazhab ki zaban nam usi ke to hain sab khud ko jis qaid se ta-umr chhudaya na gaya khak dariya ke kinaron ko milaunga main khud ko hi aaj talak khud se milaya na gaya mera iman hua kharch jise pane mein kya ghazab hoga jo us shai ko bachaya na gaya