husn-e-bazar to hai garmi-e-bazar nahin bechne wale hain sab koi kharidar nahin aao batlaen ki wadon ki haqiqat kya hai ped unche hain sabhi koi samar-dar nahin dil ki uftad mizaji se pareshan hun main thi talab jis ki ab us ka hi talabgar nahin ab jise dekho wahi ghum raha hai bandhe dastiyab ab kisi dukan pe dastar nahin ai zulekha tu ne jo dam lagaya ab ke us pe yusuf to koi bikne ko tayyar nahin aasman chhat hai zamin farsh kushada hai makan mera ghar wo hai ki jis ke dar-o-diwar nahin hai sukhan-fahmi ka har shakhs ko dawa lekin kaun aisa hai jo 'ghaalib' ka taraf-dar nahin ai 'kamal' aise mein kya lutf-e-safar paoge rah mein dhup nahin sang nahin khar nahin