aasman par ek sitara sham se betab hai meri aankhon mein tumhaara gham nahin hai khwab hai raat dariya aaine mein is tarah aaya ki main ye samajh kar so gaya dariya nahin ek khwab hai kaamani surat mein bhi ek aarzu hai mahw-e-khwab sanwli rangat mein bhi ek wasl ka kam-khwab hai meri khatir kuchh sunahri sanwli mitti bhi thi warna us ka jism sara raushni ka khwab hai aasman ek bistar-e-sanjab lagta hai mujhe aur ye qaus-e-quzah jaise koi mehrab hai kis ke istiqbaal ko utthe the diwanon ke hath kis ke matam ko yahan ye majma-e-ahbab hai ya allahabad mein rahiye jahan sangam bhi ho ya banaras mein jahan har ghat par sailab hai is nahang-e-tishna se zor-azma ho kar 'jamil' bhul mat jaana ki aage bhi wahi girdab hai