mila hai takht kise kaun takht par na raha ye baat aur hai jari tha jo safar na raha shab-e-siyah mein bhi jo tha raushni ka safir kinar-e-baam se wo jhankta qamar na raha lagi thin jis pe nigahen na jaane kis kis ki mariz par wahi tawiz kar-gar na raha yaqin tha jo bhi wo ab gard-e-ishtibah mein hai ye kya hua ki koi shakhs mo'tabar na raha bade-badon pe bhi 'majid' ba-nam-e-arz-e-watan jo e'timad tha al-qissa mukhtasar na raha