aasman par kale baadal chha gae ghar ke andar aaine dhundla gae kya ghazab hai ek bhi koyal nahin sab baghiche aam ke manjara gae ghatte badhte faslon ke darmiyan dafatan do raste bal kha gae dubta hai aa ke suraj un ke pas wo dariche mere dil ko bha gae shahr kya duniya badal kar dekh lo phir kahoge hum to ab ukta gae samne tha be-rukhi ka aasman is liye wapas zamin par aa gae yaad aaya kuchh gira tha tut kar be-khudi mein khud se kal takra gae hurmat-e-lauh-o-qalam jati rahi kis tarah ke log adab mein aa gae hum hain mujrim aap mulzim bhi nahin aap kis anjam se ghabra gae ho gai hai shoala-zan har shakh-e-gul badh rahe the hath jo tharra gae dhans gae jo ruk gae the rah mein dekhte the mud ke jo pathra gae ghar ki tanhai jab aangan ho gai ye sitare kya qayamat dha gae the mukhatab jism lahje be-shumar jaan-balab arman 'khalish' ghazla gae