yas ki kohr mein lipta hua chehra dekha jism ka ek bigadta hua khaka dekha apni surat bhi na pahchan saki aankh meri muddaton baad jo main ne kabhi shisha dekha shahr-e-pur-haul mein ab ke ye ajab manzar tha sang kushada tha magar sang ko basta dekha main bhi gum-sum tha koi baat na karne paya us ke honton pe bhi jaise koi pahra dekha tera qurb ek tamanna so tamanna hi rahi hasil-e-umr yahi hai tera rasta dekha kya ajab rakh se paida ho koi qasr-e-azim hum ne aatish mein bhi gulzar ka naqsha dekha main hi ghamgin nahin tark-e-talluq pe 'kamal' wo bhi nashad tha us ko bhi fasurda dekha