aasman tak jo nala pahuncha hai dil ki gahraiyon se nikla hai meri nazron mein hashr bhi kya hai main ne un ka jalal dekha hai jalwa-e-tur khwab-e-musa hai kis ne dekha hai kis ko dekha hai hae anjam is safine ka nakhuda ne jise duboya hai aah kya dil mein ab lahu bhi nahin aaj ashkon ka rang phika hai jab bhi aankhen milin un aankhon se dil ne dil ka mizaj puchha hai wo jawani ki thi harif-e-tarab aaj barbaad-e-jam-o-sahba hai kaun uth kar chala muqabil se jis taraf dekhiye andhera hai phir meri aankh ho gai namnak phir kisi ne mizaj puchha hai sach to ye hai 'majaz' ki duniya husn aur ishq ke siwa kya hai