apne pindar ko khoya nahin jata mujh se main jo chahun bhi to roya nahin jata mujh se mubtala ho mera ham-saya kisi gham mein agar jagta rahta hun soya nahin jata mujh se hadson mein bhi rahi hai mere honton pe hansi gham ko khushiyon mein samoya nahin jata mujh se qissa-e-zulm mein kaise likhun kab tak likkhun ab qalam khun mein duboya nahin jata mujh se ek jugnu bhi to sajta nahin palkon pe 'sharar' ek moti bhi piroya nahin jata mujh se