aasman tut pada hai chhat par mutmain hun ki khuda hai chhat par ye tapakne ki nahin hai pyare kasrat-e-zar ki dua hai chhat par mujh mein ab tak hai yahi khauf basa chikh mein dubi sada hai chhat par ek muflis ne kaha barish se dekh mera bhi khuda hai chhat par waqt niche bhi utarega use umr bhar kaun rahega chhat par mahw-e-hairat hai har ek binai koi to khel bapa hai chhat par rah mein aae to lagta hai bhala dekhne mein jo bura hai chhat par chand utra hai mere pahlu mein nur mein dubi faza hai chhat par jab se raste pe lagi hain nazren rasta banta gaya hai chhat par habs kamre ka batane aaya mohtaram aaj hua hai chhat par shauq se dekh rahi hai duniya husn-e-taswir bana hai chhat kar ye bhi rukhsat ka ajab lamha hai shahr ka shahr khada hai chhat par waqt raste se utha laya hai dekh 'shahid' bhi gaya hai chhat par