dard samjhe na koi dard ka darman samjhe log wahshat ko ilaj-e-gham-e-dauran samjhe dil pe kya guzri achanak tere aa jaane se is nazakat ko bhala kya koi mehman samjhe arsh-o-kursi se pare rakhte hain jo langah-e-fikr manzar-e-dahr ko hum rauzan-e-zindan samjhe wo bhadakte hue shoale the nasheman ke mere dur se aap jinhen sarw-e-charaghan samjhe yun bhi haalat se samjhauta kiya hai aksar dushman-e-jaan ko bhi hum apna nigahban samjhe