aasmanon ki bulandi se utar aaya hun ai zamin mujh ko sahaara de main ghar aaya hun muddaton baad pukara meri wahshat ne mujhe muddaton baad main sahra mein nazar aaya hun dekh rahon mein meri khar bichhane wale main udhar chhod ke gulzar idhar aaya hun sang hathon mein liye baithe hain ahbab yahan aur main shanon pe sajae hue sar aaya hun chashm-e-hairat se jise dekha karegi duniya rang aise teri taswir mein bhar aaya hun khud ko chahun bhi to ab dekh nahin paunga apni aankhen teri dahliz pe dhar aaya hun is qadar gahra dhundalka tha hunar raston mein badi mushkil se zamane ko nazar aaya hun chaman-e-shairi chhai thin khizaen jis par le ke 'shiban' wahan main gul-e-tar aaya hun