aasmanon se utar kar meri dharti pe biraj mein tujhe dunga panapte hue giton ka khiraj dil ke sahra pe baras chait ke baadal ki tarah khushk tile ko bhi de phulti sarson ka mizaj nabz-e-haalat mein ab reng ke chalta hai lahu kash rakh le tu utarte hue dariya ki laj chand ban kar zara insan ke mathe pe ubhar tere jalwon ko tarasta hai ye tarik samaj bujhte jate hain sitaron ke fana-rang kanwal aa sar-e-waqt pe rakh jhum ke khurshid ka taj