mausam-e-gul mein koi kab hosh-mandana chala phul dekhe jis ne kanton mein wo diwana chala ek hi manzil pe har rahi ko jaana tha magar zoam-e-baatil mein chala jo bhi judagana chala us ke har ek gam par thi kaamrani sath sath kargah-e-dahr mein jo sarfaroshana chala waizan-e-kam-nazar hain dushman-e-tamkin-e-hosh mit gaya wo in ki baaton par jo diwana chala mai-kade mein ranj-o-gham kaisa kahan ki mushkilen har khalish jati rahi jab daur-e-paimana chala aafrin sad aafrin ye himmat zauq-e-talab shama ke jalte hi jal marne ko parwana chala koi asrar mashiyyat ho na paya aashkar be-khabar aaya tha 'kashfi' aur begana chala