aasra harf-e-dua gham se mafar hone tak sabr bhi chahiye ab us mein asar hone tak gar baqa ki hai tamanna to fana kar khud ko bij sahta hai sitam kitne shajar hone tak rab ki takhliq pe angusht-ba-dandan hain malak marhale dekh le mitti se bashar hone tak bakhiya-gar chaak-e-gareban ki ho tadbir koi hun teri dast-nigar apna hunar hone tak ishq mein bar-sar-e-paikar khirad aur junun marg be-maut hai ab marka sar hone tak wo teri yaad ke aansu the jo bahne na diye chashm viran mein ruke shahr-badar hone tak main bhi ban jaun shab-e-gham koi nanha bachcha jo ki kho jata hai khwabon mein sahar hone tak the jigar qalb-o-nazar zad-e-safar jab 'shazi' khauf-e-tanhai tha kyun izn-e-safar hone tak