jaan ye intizar kaisa hai hijr mein bhi qarar kaisa hai teri baaton ka zakhm hai ab tak dekh tera shikar kaisa hai dil ki dhadkan suni to wo bole ye khanakta sitar kaisa hai nabz ne lautte hi puchha tha sune dil ka dayar kaisa hai mere aansu use tasalli den mujh ko ye us se pyar kaisa hai mujh mein himmat nahin lagaun dil aur dekhun ki pyar kaisa hai ruh ke zakhm jism se hain ayan pairahan tar-tar kaisa hai phul ke haal se main waqif hun tum batao ki khar kaisa hai wo rakhega mera bharam baqi us pe ye e'tibar kaisa hai