aasuda dil mein uthne laga iztirab kya is zindagi mein ho gaya shamil shitab kya qasid ke hath apna ye paigham saunp kar phir sochte raho ki ab aae jawab kya us ka hai fazl zarra jo chamke ba-san-e-zar hai warna kya ye mah bhi aur aaftab kya hai nind se koi bhi talluq nahin mera har dam ye chashm-e-wa mein ubharta hai khwab kya kya fath-yab ho saka hai koi tegh se phir bhi hai darmiyan-e-mamalik zirab kya hoga jo e'tibar tammul rahega kya kaamil supurdagi ho to sharm-o-hijab kya mumkin kahan ho hath mein 'naqid' tere quran kafir bata hai samne tere kitab kya