bhul baithe sari duniya aashiqi ki khatir aashiqi bhi chhod di phir naukri ki khatir mar dala har khushi ko khamushi ki khatir kya nahin us ne kiya meri hansi ki khatir muflisi aisi adu ko bhi na bakhshe maula bechna ho jo charaghan raushni ki khatir jaane kitne log guzre mujh se ho kar bhai muntazir main rah gaya ek aadmi ki khatir zindagi ko zindagi samjha nahin jaane kyun zindagi bhi ja rahi thi zindagi ki khatir qaid karna chahte the log suraj ghar mein main lada kyun raushni se tirgi ki khatir zist ko bhi ek tamasha hi bana kar rakkha ai 'shafaq' kya tum ne chhoda shairi ki khatir