aata chala gaya hai wo khush-fikr dhyan mein badhti chali gai hai nafasat bayan mein yun kho gaya hun masnawi sahar-ul-bayan mein shamil hun jaise main bhi usi dastan mein ek pair chhu gaya hai kisi mah-jamal ka ab jashn ka saman sa hai kapde ke than mein tujh tak to main pahunch hi gaya hun magar ye kya dil sarf ho chuka hai kahin darmiyan mein hum bhi lawahiqin hain marhum ishq ke likhiye hamara nam bhi aazurdagan mein us naqsh ka numud se kya wasta bhala aaya nahin jo us nigah-e-mehrban mein aankhon mein tairte hue doron ki khair ho mausam ne kuchh kaha to nahin tere kan mein