kucha kucha taza hawaon ka kal hai

kucha kucha taza hawaon ka kal hai
is shahar mein to sans bhi lena muhaal hai

uthta hai jo bhi abr barasta hai dasht par
mausam ko mere shahar ka kitna khayal hai

ye mauj-e-tah-nashin to bada kaam kar gai
samjhe hue the hum ki ubharna muhaal hai

rakhe hain khwahishat ne jab se yahan qadam
dil sabza-e-chaman ki tarah paemal hai

milne ke aaj us ke hain andaz hi kuchh aur
bichhdega umr-bhar ke liye ehtimal hai

haalat ghar yahi hain to phir meri ruh ka
mere badan ki qaid mein rahna muhaal hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close