aata hai kis andaz se tuk naz to dekho kis dhaj se qadam padta hai andaz to dekho taus-e-pari-jalwa ko thukra ke chale hai andaz-e-khiram-e-but-e-tannaz to dekho yak jumbish-e-lab us ki ne lakhon ko jilaya isa ko ye qudrat thi tum eajaz to dekho karta hun main duzdida-nazar gar kabhi us par nazron mein parakh le hai nazar-baz to dekho main kinga-e-arsh se par mar ke guzra allah-re rasai meri parwaz to dekho ai wae ki is sai par apni kabhi us se sazish na hui tala-e-na-saz to dekho kya bolne mein us but-e-kafir ki ada hai shirin-sukhani ek taraf aawaz to dekho abtar hai ye diwan to miyan-'mushafi' sara anjam ki kya kahte ho aaghaz to dekho