jab se bandha hai tasawwur us rukh-e-pur-nur ka sare ghar mein nur phaila hai charagh-e-tur ka bakht-e-wazhun se jale kyun dil na mujh mahrur ka marham-e-kafur se munh aa gaya nasur ka is qadar mushtaq hun zahid khuda ke nur ka but bhi banwaya kabhi main ne to sang-e-tur ka tujh ko lae ghar mein jannat ko jalaya rashk se ham-baghal tujh se hue pahlu dabaya hur ka gor-e-kafir kis liye hai tira-o-tar is qadar pad gaya saya magar meri shab-e-dijur ka husn-e-yusuf aur tere husn mein itna hai farq chot ye nazdik ki hai war tha wo daur ka qasr-e-tan bigda kisi ka gorkan ki ban padi ghar kisi ka gir pada ghar bin gaya mazdur ka chehra-e-jaanan se sharma kar chhupaya khuld mein khama-e-taqdir ne khincha jo naqsha hur ka hajat-e-mushshata kya rukhsar-e-raushan ke liye dekh lo gul katta hai kaun sham-e-tur ka zulf-o-ru-e-yar se nairang-e-qudrat hai ayan mahr ke panje mein hai daman shab-e-dijur ka khaksari kar jo ho manzur aankhon mein jagah khak ho kar surma bin jata hai patthar taur ka ghafilon ke kan kab khulte hain san kar shor-e-hashr sone walon ko jaga sakta nahin ghul dur ka puchh lena sab watan ka haal ai ahl-e-adam baith lene do zara aata hun uttha daur ka ijz karte hain adu-e-jaan se bhi khasan-e-haq jhuk gaya sar aage pa-e-dar par mansur ka maut kya aai tap-e-furqat se sehat ho gai dam nikalne se badan thanda hua ranjur ka jate hain mai-khana-e-alam se hum su-e-adam kah do az-khud-raftagi se hai irada dur ka muziyon ko hadson se dahr ke kya khauf hai barish-e-baran se ghar girta nahin zambur ka chashm-e-saghar be-sabab har dam lahu roti nahin mughbachon se saqiya dil phat gaya angur ka jate hain mai-khana-e-alam se hum su-e-adam kah do az-khud-raftagi se hai irada dur ka ki nazar jis par kudurat se raha khamosh wo hai asar gard-e-nigah-e-yar mein sindur ka jalwa-e-mashuq har ja hai basirat ho agar kirmak-e-shab-tab mein aalam hai sham-e-tur ka mar ke yaran-e-adam ke pas pahunchunga 'amir' chalte chalte jaan jaegi safar hai dur ka