aata hai nazar aur hi manzar hai koi aur kya mahw-e-tamasha mere andar hai koi aur tabdil hui kaise har ek ghar ki wirasat dar par hai koi nam pas-e-dar hai koi aur nazzara kahan aisa kisi dasht mein dekha panw to kisi ke hain magar sar hai koi aur uljhi hai magar tishna-labi tishna-labi se ye baat alag hai ki samundar hai koi aur