aata hi nahin hone ka yaqin kya baat karun hai dur bahut wo khwab-nashin kya baat karun kya baat karun jo aks tha meri aankhon mein wo chhod gaya ek sham kahin kya baat karun kya baat karun jo ghadiyan meri hamdam thin wo ghadiyan hi aazar banin kya baat karun kya baat karun mere sathi mujh se chhut gae wo log nahin wo khwab nahin kya baat karun kya baat karun ye log bhala kab sunte hain sab baaten andar dub gain kya baat karun kya baat karun apnon ki jitni lashen thin mere sine mein sab aan girin kya baat karun kya baat karun jo baaten tum se karni thin ab un baaton ka waqt nahin kya baat karun kya baat karun kabhi pani baaten karta tha ye dariya is ki khushk zamin kya baat karun kya baat karun sahra mein chand akela hai aur mere sath bhi koi nahin kya baat karun kya baat karun 'rizwan' ki rona aata hai sab baaten us ki baat se thin kya baat karun