hum hi badlenge rah-o-rasm-e-gulistan yaro hum se wabasta hai tamir-e-bahaaran yaro qurbat-e-kakul-o-rukhsar se ji tang nahin ek zara chain to de gardish-e-dauran yaro lakh hum marhala-e-dar-o-rasan se guzre zindagi se na hue phir bhi gurezan yaro ek thaka khwab ki sine mein sulagta hai abhi ek dabi yaad ki hai nish-e-rag-e-jaan yaro aamad-e-subh se mayus nahin hain lekin das na le tirgi-e-sham-e-ghariban yaro aur kuchh dur ki thodi hai rah-e-jaur-o-sitam aur kuchh der ki tuta dar-e-zindan yaro apna dukh ho to 'riyaz' us ka mudawa karte hain sabhi shoala-ba-jaan chaak-e-gareban yaro