aatash-bajaan hain shiddat-e-soz-e-nihan se hum

aatash-bajaan hain shiddat-e-soz-e-nihan se hum
is par bhi kaam lenge na aah-o-fughan se hum

dil par jo ban gai hai kahen kya zaban se hum
gir kar teri nazar se gire aasman se hum

anjam-e-justuju pe wahi aa gaya maqam
aaghaz-e-justuju mein chale the jahan se hum

dair-o-haram ko chhod kar aae the hum yahan
jaen kahan ab uth ke tere aastan se hum

mana ki tera gham hai gham-e-rahat-afrin
laen ada-shanas-alam dil kahan se hum

kis ko khabar thi ishq mein kis ko khayal tha
kat jaenge talluq-e-kaun-o-makan se hum

ehsas-e-rang-o-bu pe bahaaron ka hai saman
manus hain shaguftagi-e-gul-rukhan se hum

aazar-e-gham wafur-e-alam soz-e-na-tamam
khush-bakht-o-faiz-yab hain umr-e-rawan se hum

aisa ghire hain jada-o-manzil ke pher mein
khoe gae hain apne hi nam-o-nishan se hum

kaisi talash kis ki tamanna kahan ka shauq
uljhe hue hain lazzat-e-dard-e-nihan se hum

ag gumrahi jo rah dikhae to kuchh bane
manzil par aa ke dur hue karwan se hum

ho jaen un pe mit ke subuk-dosh ai 'rishi'
tang aa chuke hain zist ke bar-e-garan se hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close