hum agar mare gae apni jawani mein kahin nam likh dena mohabbat ki kahani mein kahin kyon na is bhule ko yaad aaya bhala ghar ka pata kuchh khata hum se hui yaad-dahani mein kahin kaun se des se nikla to hua pardesi dhund purza kisi patlun-e-purani mein kahin des chhoda to har ek chiz wahan chhod aae yun bhi karta hai koi naql-e-makani mein kahin jin mein mahfuz the yaadon ke zakhire mere dhundhta phirta hun wo harf main pani mein kahin sare jazbe bhala alfaz mein aate kab hain sari baaten padhi jati hain maani mein kahin tez raftar 'rishi' pahle bhi tha par ab ke kuchh ajab des wo pahuncha hai rawani mein kahin