aatash o injimad hai mujh mein kaisa kaisa tazad hai mujh mein khwab se pahle kuchh nahin yaksar jo bhi hai us ke baad hai mujh mein zakhm khulte hain sans ghutti hai aisi bast-o-kushad hai mujh mein ranj-e-dil hai hara bhara ab tak koi to hai jo shad hai mujh mein dushmani ka hi rah gaya sarokar warna kis ka mafad hai mujh mein koi is ka sabab nahin tu hi ye jo itna fasad hai mujh mein koi jalsa hai zor ka jaise jis ka ye iniqad hai mujh mein jise ab tak talash karta hun gum-shuda ek yaad hai mujh mein aandhiyan si jo chal rahi hain 'zafar' surat-e-khak-o-baad hai mujh mein