dard bahta hai dariya ke sine mein pani nahin

dard bahta hai dariya ke sine mein pani nahin
us ka chattan pe sar patakna kahani nahin

baat pahunche samaat ko tasir de kis tarah
lafz hain aur lafzon mein zor-e-bayani nahin

tut jaegi diwar jitni bhi mazbut ho
us ke ehsas ki dhup bhi saebani nahin

kya samajh-bujh kar hum bhi apna khuda ho gae
jaise duniya hamesha ki ho dar-e-fani nahin

dubte dubte naw pahunchegi ek din zarur
mere sahil pe dariya teri mehrbani nahin

hum sabhi ek rishte ki manjdhaar mein qaid hain
chikhna kashtiyon ka 'zafar' be-maani nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close