aati jati sans kaise tere gham se man gai kya bataen zindagi khud-raftagi kyun ban gai baat bhi sah len kisi ki ab kahan itna dimagh tum se ruthe the ladai dusron se than gai kaghazon se main tera uryan badan dhakne laga jo bacha rakkhi thi ab tak wo mata-e-fan gai reza reza chand palkon ki chatanon par mila raat kale gham ki aise jhad kar daman gai roz-o-shab ki ye masafat jaane kab hogi tamam phir hawa le kar hamare jism ka indhan gai