tera khayal tha lafzon mein dhal gaya kaise dilon mein sham-e-ghazal ban ke jal gaya kaise wo aadmi jo mera dost tha zamane tak pata nahin ki yakayak badal gaya kaise bahut hi tez hawa sher-e-hadsat ki thi main girte girte na jaane sambhal gaya kaise kahin bhi aag lagane ka waqia na hua to phir huzur makan mera jal gaya kaise khalish se jis ki thi wabasta yaad manzil ki wo khar panw se 'khusraw' nikal gaya kaise