aatish-e-bagh aise bhadki hai ki jalti hai hawa kucha-e-gul se dhuan ho kar nikalti hai hawa soz-e-wahshat mein dhuen ki shakl kahish hai mujhe main hawa khata nahin mujh ko nigalti hai hawa dam agar nikla badan se phir badi taskin hai khak patthar ho ke jamti hai jo talti hai hawa giryae-e-ushshaq se kichad hai aise ja-ba-ja tham kar diwar-o-dar galiyon mein chalti hai hawa ja-ba-ja mujh ko liye phirti hai duniya ki hawas baith jata hai bagula jab nikalti hai hawa gulshan-e-alam ki nairangi se hota hai yaqin phir shagufa phulta hai phir badalti hai hawa hain bhi aahen to munh se bahar aata hai jigar zarre ko rauzan se aksar le nikalti hai hawa nazuki mein shakh-e-gul hai sarw-e-baala yar ka jhonke leta hai jo aahista bhi chalti hai hawa khak udti hi jo us ke panw se gul-gasht mein phulon ke munh par bajae ghaza malti hai hawa dekhiye chal kar zara kaifiyyat-e-josh-e-bahaar jhumte hain ped gir gir kar sambhalti hai hawa na-rasai dekhna udta hai jab mera ghubar yar ke kothe ke kanis se phisalti hai hawa garmiyon mein sair gulzaron ki bhati hai mujhe har qadam par pankhiya phulon ki jhalti hai hawa khar kahte hain utha kar ungliyan gul ki taraf phul jate hain wo kaisa jin ko phalti hai hawa sarw-e-qirtas-e-muqarriz hun main is gulzar mein khak mein pani milata hai masalti hai hawa 'bahr' pankha hath se rakh do nihayat zar hun mauj-e-dariya ki tarah mujh ko kuchalti hai hawa