makan hi na banae gae zamin kam thi shajar hawa mein ugae gae zamin kam thi main us jagah hun jahan se palat ke suraj mein panah dhundne sae gae zamin kam thi bashar muqim the qabron mein aur nae murde samundaron mein bahae gae zamin kam thi hamein bhi laut hi jaana hai hum se pahle bhi sab aasman pe uthae gae zamin kam thi tamam umr kati ek jagah khade rah kar kabhi na hum kahin aae gae zamin kam thi ye kaenat-e-safar tha so raat padte hi hum aasman sarae gae zamin kam thi buzurg aab-e-baqa pi chuke the aur bachche wajud hi mein na lae gae zamin kam thi khuda ne aadam-o-hawwa ko kar diya paida phir aadmi na banae gae zamin kam thi hum apne aap ko 'akash' ghar samajhte rahe hamesha khud hi mein pae gae zamin kam thi