aatish-e-husn bhari hai tere rukhsaron mein kaun munh mare dahakte hue angaron mein talib-e-did ko jab did ka mauqa na mila lakhon surakh kiye yar ki diwaron mein aaj kya tu ne ayaadat ka kiya hai wada khalbali aaj machi hai tere bimaron mein sainkadon botalen aur bisiyon saghar tute hatha-pai jo zara ho gai mai-khwaron mein ghair se aaj hui nocha khasuti teri dagh jo nile pade hain tere rukhsaron mein baad-e-abru se shab-e-hijr ko kata hum ne ye bhi chalta hua hathiyar hai hathiyaron mein kahin ho jae use burda-faroshi mein saza ghair us but ko liye phirta hai bazaron mein hum ko bhi husn-e-malahat ka maza chakkhwa do hum bhi hain aap ke muddat se talab-garon mein bum sahab ka ajab rang nirala dekha yar yaron mein hai aghyar hai aghyaron mein