aadha maza visal ka pae hue to hun nanga gale se tum ko lagae hue to hun go lakh main firaq mein kamzor ho gaya ulfat ka bojh sar par uthae hue to hun pura pata nahin hai ki jate ho kis jagah kuchh kuchh tumhaare bhed ko pae hue to hun tum phir bhi kah rahe ho ki taskin nahin hui haalanki sara zor lagae hue to hun ye kya kaha ki jaan bachata hai qatl se nutfa haram sar ko jhukae hue to hun dushman ki chaplusi se kuchh faeda nahin sale ko bewaquf banae hue to hun kuchh kuchh wo mere qabu mein aae hue to hain kuchh kuchh main un ko dab mein lae hue to hun mana ki 'bum' bazm-e-sukhan mein maza nahin thoda sa phir bhi rang jamae hue to hun