aatish-e-ishq mein jalta raha bujhta raha dil ranj-e-betab se dariya kabhi sahra raha dil ek safar han wo safar panw ki zanjir bana baad ai yar teri yaad mein jalta raha dil mahfil-arai ki khwahish thi so dil us ke sabab mahfil-ara raha viran raha tanha raha dil mauja-e-khun kisi sine mein ruka tha kal raat dard uthta raha chubhta raha dukhta raha dil